Apne Blog Ki Post Par Traffic Kaise Badhaye - SEO Tips In Hindi 2018



Dosto kisi bhi Webmaster ke liye SEO ek Important factor hai.iske liye apni website ko SEO optimized karna hi padta hai.iske saath apne blog content ko bhi SEO friendly banana padta hai.


Ab dosto aapne ek Awesome Website banayi jisme aapko Hindi ya English kisi me bhi blogging karna acha lagta hai.

Ab aap apne blog par Traffic or Audience dono badhana chahte hai .jis se ki log aapke blog ko padhe or aapko achi earning ke saath logon ko acha jaan ne ko mile.

Blogging karne se pehle aapko Search Engine Optimization or SEO  ke baare me thoda sa samjhna hoga kyuki bina SEO optimized Website ka SERPs par top par ana mushkil hai.
SERPs ka matlab Search Engine Result Page
hai.

Google or Bing jaisi Search Engine Site Aapke SEO par hi Website ko top rank par aane me madad karti hai.
Kisi bhi websites ka Traffic  uske SEO  par hi Depend karta hai.



SEO optimization se blog par Traffic kaise badhaye


Agar aap Hindi me blogging karte hai to is par High traffic aana mushkil hai kyuki aapke blog par jaydatar traffic india se hi aate hai.

Ab Sawal ye ha ki Hindi blog par Traffic ko kaise badhaye?

Aaj ke technology world me Web par itni saari Website Available hai ki aapke Website ka bina kisi SEO technique ka  use kiye Google search/Bing search  par pehle top position par or pages par aana asaan nhi hai.

SEO Tips





Best 5 tips for Hindi 


Search engine ki technology jaise jaise dinbhar me badhati ja rahi hai waise hi optimization bhi bahut bada factor hpta ja raha hai.

Website ko SEO optimized kar High traffic ke 2 tarike hai.

1. On- page SEO
2. Off- page SEO



SEO Tips And Tricks 


Aap in SEO tips ko use kar apne blog par aasani se traffic badha sakte hai.



1. Aap apne blog post ka URl SEO  ko ache Rank Dene ke liye aapko esa URl choose karan hoga jisme Content ka primary keyword ata ho.

Google aapki website ke baare me samjhne or achi rank dene ke liye aapke keywords or URl ka use karta hai. Aap apni post me ye bhi dekhe ki koi Hashtag(#) to nahi hai ).aap hamesha ek acha URL choose karen.


2. Titles and description

Aapke content ka title  or description kisi bhi search engine  ko aapki website ki rank dene ke liye ek acha or upyogi factor ha.
Aap jab bhi koi content ya post likhe to aap title or description ka dhayan rakhe.
 Jab bhi aapki site kisi Search engine result page (SERPs) par top par dikhayi deti hai.tab jo Traffic rehta hai wo aapke page ke title or description ko padhkar jaan lenge ki wo page kis baare me likha gya hai.isliye aap hamesha hi ek acha title or description likhe.

3. Utilize anchor text

Jab bhi aap apni website par koi content likhte hai to aap ye soche ki aap apne website ke andar Anchor text ka upyoge kaise karen? Anchor text content me hi kisi important word ko kehte hai jo aapke site ke andar kisi or page ya kisi or website par le jata hai.

Isme aap se content se related keywords sentences ka bhi use kar sakte hai aap is page me kahin bhi kisi sentence me jo Hyperlinks dekhe rahe hai Anchor text hi hai.

Note- Anchor text aapke SEO ko increase karne me help karta hai or ek badhiya tarika hai. Lekin dhyan rakhe ki jayda use karne se Google ise Spamming samjhta hai. Jo aapke liye sahi nahi ho sakta.

4. Add alt text to all your images.

Search engine aapki site par likhe content ko asani se padh leta hai. Lekin hamare content me use hone waale ki bhi images ko nahi padh pata ki aapki web page par images ko kaise dekhna hai. Ise hi samjhne ke liye kisi graphics ya pictures ka subject kya hai tab wo alt text ko read karta hai.

Aap apne content ke sabhi images ke liye sahi keyworda ko chune.


5 content around keywords

Dosto aap post "SEO Tips" par likhna chahte hai or apne post me iska use hi nahi kar rahe to kya aapka content aapke keywords se relative raha. Nahi.
Jaisa aap dekh rahe hai ki maine apni post SEO Tips par likha hai or SEO tips ke relative keyword maine kahin na kahin use kiye hai. Aap apni post post likhte samay is cheej ka dhyan rakhe.


Is post ko padhne ke liye dhyanhawaad.agar aapko ye post achi lagi to comment karke hame jarur batayen.

Post a Comment

0 Comments